View Single Post
Old 08-17-2008, 01:08 PM   #1 (permalink)
Samuel De Mazarin
Wonderer
 
Samuel De Mazarin's Avatar
 
Join Date: May 2008
Type: ENTP
Location: Manhattan
Posts: 1,058
Samuel De Mazarin is unique just like everyone else
Default Koi bhi hindi-urdu bol sakte hain? Yahaan aiye!

Namaskaar aur salaam, priya doston!

Chunki ka-i log is mbti forum mein bhasha-sambandhit threads banaa rahe hain, mujhe lagaa ki hindi-urdu ki ek thread banaana acchaa hoga.

Main apne-aap, swayam, khud karke hindi-urdu sikhaa, aur donon hi lipion mein likh aur parh saktaa hoon, lekin urdu mein zyaadaa abhyaas nehi hota. Agar zyaadaa logon ko chahiye, to shaayad devnaagari ki lipi mein likhne ki suvidhaa ka intezaam kar sakoonga...

Lekin pehele, koi hai yahaan?

Mujhe lagtaa hai ki hindi-urdu-bhaashion ki kamti hogi, phir kam-se-kam maine koshish ki gayi hai.

Aur haan, agar meri hindi/urdu ki vyaakaraN/qavaaid mein koi ghalti ho, to mujhe meherbaani se kehe dijiyega.

P.S. Yeh to ekdam na-mumkin hai, lekin agar koi bangla mein bhi baat kar sakte hain, to phir bhi yahaan pe likh le... aamaar bangla hindi-che onek beshi bhaalo...
__________________
Madman's azure lie: a zen miasma ruled.

Realize us, Madman!

I razed a slum, Amen.

...............................................
Samuel De Mazarin is offline   Reply With Quote